Na saathi na humsafar hai koi,
Na kisike hum na hamara hai koi,
Par aapko dekh ke keh sakate hai,
Ek pyaara sa dost hamara bhi hai koi.
Yaad karoge toh har baat yaad aayegi,
Suhane waqt ki mauj ruk jayegi,
Dhoodoge agar hamse behtar dost koi,
Nigah door tak jayegi aur laut aayegi.
Suna hai asar hota hai baaton mein,
Aap bhi bhool jaoge do-chaar mulakaton mein,
Lekin humse bachkar kaha jaoge,
Aapki dosti ki lakeer hai mere haathon mein.
Tere golden face ki beauty ne,
Mere komal heart pe attack kiya,
Sabko reject kiya tumko select kiya,
Request hai tumse Isse refuse na karna,
Dosti ke is bulb ko kabhi fuse na karna.
Yeh din yuhi gujar jayega,
Sayed ham dost ek din yuhi bichad jayenge,
Naraj na hona tum meri sararat se,
Kyu ki yehi toh woh pal hai jo kal bhi yaad aayenge.
Yeh dil hai na koi khilona hai,
Rehti hai sirf tasvir yaar ki,
Na koi aur reh paya hai isme,
Pyaar se bhara iska kona kona hai.
Hasna hamara kisi ko gawara nahi hota,
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota,
Miltay hai bohat log iss tanha zindagi mein,
Par koi dost aapsa accha, pyaara nahi hota.
Dosti kaa yeh paigham aap kaay naam
Zindagi ki her shaam aap kaay naam
Iss safar mein hamsafar hai hum dono
Iss dosti ko nibhana hai aap kaa kaam
Yaad tumhari na aaye aisa hum hone nahi denge,
Dost tumhare jaisa hum khone nahi denge,
Ek do sms karte rehna,
Warna raat ko tumhe hum sone nahi denge.
Dosti ke mayne humse kya poochte ho,
Hum abhi in baaton se anjaan hai,
Sirf ek gujarish hai ke bhool na jana hame,
Kyuki aapki dosti hi hamari jaan hai.
Rishto ne har qadam pe imtihaan liya,
Tanhayi ne har mod pe dhoka diya,
Zindagi se phir bhi shikayat nahi,
Kyuki zindagi ne aap jaise dost bhi diya.
Dil ke jajbaat ki aawaz nahi hoti,
Ikraar mein suron ki barsaat nahi hoti,
Nigahein bayan kar deti hai saari dastaan,
Dosti lafzon ki mohataaz nahi hoti.
Aey dost dosti pe shak na kar,
Yeh hum nahi tere nishan kehte hai,
Tu hi hai sachcha dost,
Yeh hum baar baar kehte hai.
* * * * * * * * * * * * *